Ab tum kyon aaye ho sanam
Main ek bujhti sikha hoon
Parwana ko taras gayee jo
Aisi eik shama hoon
Armaanon ke phool khile na
Yauwan ke gulshan mein
Khushiyan aa kar kabhi na machleen
Mann ke aangon mein
Chand sa mukhda kabhi thaa mera
Ab na koyi upama hoon
Ummeedon ne saath diya nahin
Aur na sapne aaye
Mann ki sukhi bagiya mein
Kabhi suman nahin khil paaye
Doobti sandhya ki ab main
Kewal ek laalima hoon
Taruna yee ki laali rahi na
Dhumil sa mann-darpan
Chanchalta aakhiyon mein nahin ab
Aur na chanchal chitawan
Khandhar Mahalon ki hoon aaj main
Ab na koyee shushma hoon.