Tu chahe to nazakat kah le
ya tu ise kayamat kah le
Nazar ne jyon hi bibas kiya
Main tujhse nazar mila baithi
2-Nazar milee to jhuki nazar
Nazar lagi to lagi nazar
nazar pe kaise rakhun nazar
Nazar kahin bhi jaaye nazar
Tu chahe diwani kah le
ya tu mujhe mastani kah le
Jyon hi nazar hai meri phisli
Tujh par nazar tika baithi
3-Nazar mein hota basa jahan
Jahan nazar wahan hota jahan
Jahan mein jaaye nazar jahan
Jahan wahan jahan nazar jahan
Tu chahe nazukta kah le
ya chahe byakulta kah le
Jyon hi nazar aawara hui
Main tujh par nazar gada baithi.
4-Gunah bhi karti hai ye nazar
Saja bhi deti hai ye nazar
Nazarband kar leti nazar
Nazarbag bhi dikhati nazar
Tu chahe to phasana kah le
Ya mera katrana kah le
Jyon hi nazar milee tujhse
Main nazar hi teri chura baithi
5-Hansi khel nahin nazar ka khel
Khel khel mein khele khel
Khel mein aisa khele khel
Khel khel mein ho jaaye meil
Tu chahe ise khel hai kah le
Ya tu isko meil hai kah le
Jyon hi nazar ne khel kiya
Main nazar se tujhko pila baithi
6-Zigar jaaye gar chubhe nazar
Jahan jaaye gar jaaye nazar
Nazarheen pe rakhiye nazar
De kar unko jaayen nazar
Tu chahe to nazara kah le
ya tu nazar aawara kah le
Jyon hi nazar hai meri badli
Nazar daan main kar baithi.
7-Khuda ki hoti agar nazar
kisi ki lagti nahin nazar
Mai khana hoti hai nazar
Paimana bhi hoti nazar
Tu chahe ise khanjar kah le
Ya tu ise samandar kah le
Jyon hi mujhe teri nazar lagi
Main apana hosh gawan baithi