Is baar woh milee jab ,to woh nazar na aayee,
Badli hui si unki,neeyat nazar aayee,
Surat kabhi jo unki,kitni saloni thee,
Is baar wohi surat,wohi nazar na aayee.
2-Baste thei mere sapne,jin jheel si aankhon mein,
Is baar unki aankhon,mein bagawat nazar aayee.
Jo thee kabhi unme,woh baat ab nahin,
har baat unki badlee,woh baat nazar na aayee
3-Duniya ki yehi reeti ,yehan kaun na badle
Hoti na gar wafa to ,hoti na bewafayee
Shama hi jab na jale,parwana kahan jale
Is baar unki chahat,mein garmee nazar na aayee
4-Gujre thei din jo pehle,kabhi saath mein unke
Is baar unko unki,yaad tak na aayee.
Mausam gar unka badla,to mujhko gila nahin,
Neeyat yehi prakrit ki,sadiyon se chali aayee.
5-Woh milei ya na milei,unki yaaden hi sahi
Rahengi saath yaaden,to rahegi na tanhayee.
Bewafa gar ho gayee,koi baat nayee nahin,
Takdeer ki kya hoti, hai kabhi sunwayee
-